Friday, April 8, 2011

Koi deewana kehta hain

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain,

magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain,

Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain,

Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain


Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain
                                                                                                             
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain,

Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain

Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain


Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,

Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta



Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,

Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,

Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama




BY:KUMAR VISWAS




No comments:

Post a Comment