Monday, March 25, 2013

laut aaya vidyarthi

Blog jagat ki dunia me mai aya hu wapas....kuch naye kahani or kisse laya hu wapas,
soch gya tha dur kabhi na aauga iss dunia me...kbhi naa apne dil ki baato ko batauga iss dunia me
par aap logo se na mai rhe paya dur..aagya gya fir ho gya majboor...
iss jagat me mera aana suikar karo......jb jo likhuga uss pr thoda sa vichar karo....

Monday, April 11, 2011

MERA BACHPAN

kuch sal pahele tak to hum chotte the,
phele kaha hum itne mote the..


ajkal akele sote hai hum,
phele to gharwalo ke sath hi sote the..


sote sote rote the to maa puchti thi kya hua ,
mai bolta maa kuch nahi bus thoda sa hu dara hua ..


piche se papa bolte tu sher ka hai beta,
mai bolta papa tabhi to apke pas akar hu leta..


ye kavita yu hi bathe bathe likh dali,
dil kiya to blogger ke jariye apko suna dali..


aasha karta hu ki apko meri kavita ayegi pasand,
aur denge ap mujhe acche acche comment..


Friday, April 8, 2011

Koi deewana kehta hain

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain,

magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain,

Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain,

Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain


Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain
                                                                                                             
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain,

Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain

Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain


Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,

Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta



Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,

Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,

Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama




BY:KUMAR VISWAS




Thursday, March 31, 2011

Woh Kagaz Ki Kashti


ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii...


muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii...


kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii...


kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii...

Monday, March 28, 2011

एक विद्यार्थी

ब्लॉग जगत में मैं हूँ नया
करता हूँ सबको नमस्कार बयां
अभी मुझे में है अनुभव की कमी
पर ब्लॉग जगत की दुनिया है धनी
सब कुछ न कुछ मुझे सिखलायेंगे
सीखने की इच्छा से आया हूँ मै यहाँ
ब्लॉग जगत में मै हूँ नया

नमस्कार, सत् श्री अकाल ,आदाब, मै उदित एक विद्यार्थी आप सब के समक्ष कुछ सीखने की
इच्छा से आया हूँ. आशा है आप मुझे निराश नहीं करेंगे.